Nav Bar

Friday, June 12, 2015

Shayari by Kamal Paneru - 2

nazadikiyaan jo bad gyi to nazar jhukane lage
wo hame dekh kar kuch aur sharmane lage
muddat muddat dekha rasta hmara
jo hame dekha to palat kar door jaane lage
wo kaisi raat thi poonam kee, ki chandani hi nahi
wo jarra jarra apna daaman bichaane lage
unka palke sametna bhi hame ab sataane laga
wo dil me jab samaane lage
kuch aarzu ki diye jalte rahe dil me
kuch phool bhi yaado ki daaliyo par aane lage
waqt ki chaukhat pe ek aisa mod bhi aya
wo paas ho kar bhi bahut door jane lage
jane kya kismat ne gul khilaya aisa
wo hmari muhabbat ko aazmaane lage
lamha lamha dooriya badti chali gyi
na jane kyu wo gair ko apnaane lage

- (c) Kamal Paneru

follow Kamal Paneru at
facebook twitter google+


No comments:

Post a Comment