Nav Bar

Thursday, June 11, 2015

Shayari by Kamal Paneru

Hazaaro bar unka naam likha hatheli pe fir b tanha hi rahe
In hatho ki lakeero ko jara sa bhi tarash na aya...

likhte rahe mitate rahe ek tera naam tha
jo reth ko bhi yaad ho gya

sannaate me goonjti hai meri khamoshi aise
dilo me pyar ki koyal kookti ho jaise

chaand bhi tha samne aur uska chehra bhi
fark itna tha k ek k chehre par daag tha aur ek k dil me

gunaah bhi aisa kia ki saja sar-e-aam sunayi gyi
ek toot k chahne wale ko bewafa btaya gya

maut hi sukun de sakti h ab mujhe
ye ishq k raste na jannat le jaye na zahannum

ek bequsur aashiq k dil pe bhi kya guzri hogi
jise barisho se muhabbat thi, uska dil tuta bhi barsat me

gore hatho me uske mehandi ne rang dikhaya
chupa na saki qaynat tak jab mera naam ubhar kar aya

Ishq k rango me kbhi uska aksh nazar na aya
jo kehta tha ki bewafaai ka mara hua hu main...

ye albeli hawa ki gustakhiya to dekho jara
uske aangan ki mitti ko meri aankho me dhool bna diya

- (c) Kamal Paneru

follow Kamal Paneru at
facebook twitter google+

No comments:

Post a Comment