suno us chai ke pyale ka kya karu main
jo naraz ho kar chhat ki mundher par chhor gaye the tum
yu bejuban ho kar ek tak mujhe dekhna
aur mere dekh lene par najrein fer lena
Naraj ho to keh do na
tumhare aangan me lagi angoor ki bel
humare ghar ki diwaro se lipatne lagi hai
tum bhi kisi roz yu lipat jao na
Main khamkha hi sochti firti hoon uljalool khyal
tum aao ki inhe ek saleeka de do
Chuppi ishq me kab hui hai mehrbaan
ye dil mohtaz hai tumhe sunte rehne ka
Mausamo ka sawan to fir laut aya hai
Meri zndagi me bhi sawan lauta do na
Nahi basar hoti ye raatein tanha tumhare bagair
Ye dooriyaan aa kar mita do na
Kal kisi se suna ki tumhari muskurahat bebaak hai
Narajgi choro ye bebaaki dikha jaao na
Baithe ho tum bhi gumsum maalum hai mujhe
tum reh lete ho kaise khamosh shikha jao na
No comments:
Post a Comment