Kal tumhari yaad ka daakiya aya tha ghar pe
ek chitthi thi uske hath me
wahi dhundhla peela sa kagaz
jispe kabhi likha tha pyar tumne
peepal ke sookhe patte samaan
bikhar gayi main tumhari soch tale
fir khusi ka ek aansu chhalak aya
maine dekha usme, tumhara aksh nazar aa rha tha
tumhari muskaan mere hotho pe baith gayi thi
maine dunia se nazar chura k aaine ko takaa tha fir
apni aankho me tumhari aankho ko dekh rahi thi
tumhara wo itminan se mujhe niharna bahut yad aya
tumhari chhuan si mehsoos hone lagi thi mujhe
kuch waqt aisa hi bitaya tha humne sath me
fir kiya solah shringar maine
socha ki tum mann ki aankho se jarur dekh loge mujhe
dil khush tha bahut
hatho me choori aur sindoor bhi lagaya tha sar pe
kal tumhari yaad ka daakiya aya tha ghar pe
- (c) Kamal Paneru
follow Kamal Paneru at
facebook twitter google+
No comments:
Post a Comment