Nav Bar

Tuesday, December 16, 2014

ek zindgi udhaar ki

kuch udhaar ki zindgi wo jiya krta tha...
kuch aansu the aankho me, unhe piya krta tha
hairan the sb, use rota dekh kr
jo hr pal ko itminaan se jiya krta tha
aaj baith k pehlu me uske, jajbato ko samjha
jo kabhi pyar bhi jee-jaan se kiya krta tha...
khamos sa afsana reh gya darmiyaan ab
kbhi khuda ko bhi hairan kia krta tha
haal bayaan kr rhi thi uske hotho ki zard dhoop
kaise wo apne jakhm siya krta tha...
muqaddar bhi rooth baitha us maasum dil se
jo khud ko sbke liye pighla dia krta tha...
-(c)Kamal Paneru

No comments:

Post a Comment