Nav Bar

Sunday, March 28, 2021

Gale laga le mujhko



 Main ghabra raha hu, gale laga le mujhko

Main tere paas aa rha hu, gale laga le mujhko

Fir ek raat hizr me guzar gayi,

Main tanha hu, gale laga le mujhko

Mere farz mujhe mauka nahi dete ki main jee bhar kr ro lu

tu ek kaam kar gale laga le mujhko

Hara nahi hu main kisi se

Bus muhabbat me chot khayi hai

Bahut bechaini si hai gale laga le mujhko

Ek arsa ho gya mujhe aaina dekhe huye

Ab tu na dekh yu, bas gale laga le mujhko

Mere chehre pe mere gam ki numaish aane lagi hai

Ise hata de aur gale laga le mujhko

Ek muddat si hui ki kisi ko sukun se gale lagaya

Main ab ro padhunga, tu rehem kar gale laga le mujhko


- Kamal Paneru


















Friday, March 26, 2021

Khaalipan


 

mere sath hi rehta hai magar hairan rehta hai

ye shaksh aksar mujhse pareshan rehta hai

mere na hone bhar se bad jati hain dhadkane uski

main paas aau to bejaan rehta hai!

pehle gale lipat'ta hai fir har saawan me chhor jata hai

jaise mere ghar me koi mehmaan rehta hai

mere hi hath ki lakirein aur bas mera hi na chale

arey khuda, kuch to socha hota tune

ab kidhar dilo me bhagwaan rehta hai

duniya bhar ki naseehatein, muhabbat ki sajishein

kuch adhuri khwahishein aur bin mausam ki barishein

sab mere ghar ke kisi kone me padhi hain

koun kehta hai mera ghar sunsaan rehta hai


- Kamal Paneru