mujhse jhagde badne lage hain tumhare
har bat par chhor jane ki batein hone lagi hain
tum hi batao, mann bhar gya hai ab
ya pasand koi aur aane laga hai
anginat shikaytein bhi hone lagi hain tumhe mujhse ab
tum hi batao, tum raat ko sukun se sote ho kya?
number nahi lagta ab tumhara, message bhi bhejo to deliver nahi hote
tumhi batao, number badal raho ye rashte
kabhi meri ek muskan dekhne khatir tum meelo safar kiya karte the
aur aaj samne baith kar bhi berukhi hi darmiyaan hai
tumhi batao ye muhabbat ka imthaan hai ya dard ki dastak koi
mujhe roothe to jamana hua ab, aksar waqt tumhe manane me hi nikalta hai
magar har bat se nayi bat nikaal lane ka shauk tumhara
sach kehta hu meri jaan le lega ek roj
jara sa dosto me has khel liye to humein zimmedari ka ehsaas nahi?
hai ehsaas, magar tumhare paas jhagde ke siva koi baat nahi
bistar par gila tauliya main rakhu to bhi jhadga
tum rakh kar bhul jao aur main na utha paau to bhi jhagda
meri maa ne ek tumse narazgi kya dikhayi tumne to ghar badal lia
kabhi main narazgi dikhau to mujhko bhi badal doge kisi gair ke sath?
shayad tabhi jhagde bada liye hain tumne
shayad tabhi shikayato ke pitare khulte ja rahe hain
chalo tum ye shauk bhi pura kar ke dekh lo
hum to pehle bhi shaant the aur ab bhi
tumhe rokna aur tokna kabhi humne seekha hi nahi
haan agar seekh lia hota to shayad
haan shayad tumhare andar mujhe khone ka darr khatam na hua hota
shikayatein to hoti
magar yu har bat par chhor jaane ki baatein nahi hoti
chalo tum ye zid bhi puri kar ke dekh lo
kabhi meri muhabbat ki yaad aaye to laut aana
rishte nibhane na sahi, chehre dikhane hi sahi
baat banane na sahi, aankhein padh lene hi sahi
main tumhe usi jagah usi lehze aur usi haal me milunga
jaisa tum door reh kar mera ho sakta hai!
- Kamal Paneru